Poets participated in our Events
Participating poets from South Asia and Middle East.
Home / Shayars
i
Rahat Indori
Kabhi Dimaag, Kabhi Dil,
Kabhi Nazar me raho.
Ye sab tumhare hi ghar hai,
kisi bhi ghar me raho.
-Rahat Indori
i
Waseem Barelvi
Apne chehre se jo zahir hai
chupaein kaise,
teri marzi ke mutabiq
nazar aaein kaise.
-Waseem Barelvi
i
Munawwar Rana
Isi gali me wo bhookha
kisaan rehta hai,
ye wo zameen hai jahan
aasmaan rehta hai.
-Munawwar Rana
i
Hasan Kamaal
Kisi nazar ko tera
intezaar aaj bhi hai.
Kahan ho tum ke ye dil
beqarar aaj bhi hai
-Hasan Kamaal
i
Dr. Kumar Vishwas
Koi Deewana kehta hai,
Koi Paagal samajhta hai,
Magar Dharti ki bechaini
ko bas Badal samajhta hai
-Dr. Kumar Vishwas
i
Tehzeeb Hafi
Jo tere saath rehte huay
sogwaar ho,
Laanat ho aise shakhs pe
or beshumaar ho.
-Tehzeeb Hafi
i
Sampat Saral
Shaadi Shuda ho to
Patni ko saath rakha karo
Warna man ki baat bhi
Radio pe karte phiroge
-Sampat Saral
i
Iqbal Ashar
Waqhar ke saath,
Kisi se kuch na kaha bas
udaas rehne lage.
-Iqbal Ashar
i
Manzar Bhopali
Koi bachne ka nahin,
Sab ka pata jaanti hai.
Kis taraf aag lagani hai,
Hawa jaanti hai.
-Manzar Bhopali
i
Tahir Faraz
Gham iska kuch nahi
ke mai kaam aa gya
Gham ye hai qatilo me
tera naam aa gya
-Tahir Faraz
i
Shabeena Adeeb
Dil apna Ishq se aabaad
karke dekh kabhi.
Meri tarah tu mujhe yaad
karke dekh kabhi.
-Shabeena Adeeb
i
Anjum Rehbar
milnā thā ittifāq
bichhaḌnā nasīb thā,
vo utnī duur ho gayā
jitnā qarīb thā.
-Anjum Rehbar
i
Ali Zaryoun
asr ke vaqt
mere paas na baiTh
mujh pe ik
sāñvlī kā saaya hai
-Ali Zaryoun
i
Anil Choubey
aae ho sasuraal me
misscall ki tarah
latka hai tera ishq
lokpal ki tarah.
-Anil Choubey
i
Ankita Singh
WO jispar uski rehmant ho,
Wo Daulat Maangta hai kya?
Mohabbat karnewala dil,
Mohabbat Maangta hai kya?
-Ankita Singh
i
Johar Kanpoori
Jeetne ka ye hunar
bhi aazmana chahiye.
Bhaiyon se jung ho
to haar jaana chahiye.
-Johar Kanpoori
i
Naseem Nikhat
Jo hum pe guzri hai,
Jaana tumhe batein kya.
Ye dil to toot gaya,
Hum bhi toot jaein kya.
-Naseem Nikhat
i
Manish Shukla
Zakhmo me har roz
izafa hota hai,
Ghazlon ke mafhoom
sanwarte jaate hai.
-Manish Shukla
i
Azhar Iqbal
ghuTan sī hone lagī
us ke paas jaate hue
maiñ ḳhud se ruTh gayā huñ
use manāte hue
-Azhar Iqbal
i
Wasi Shah
is judā.ī meñ tum
andar se bikhar jāoge
kisī ma.azūr ko dekhoge
to yaad ā.ūñgā
-Wasi Shah
i
Shakeel Azmi
haar ho jaatī hai jab
maan liyā jaatā hai
jiit tab hotī hai jab
Thaan liyā jaatā hai
-Shakeel Azmi
i
Mehsher Afridi
ye sochtā huuñ
charāġhoñ kā ehtimām karūñ
havā ko bhuuk lagī hai
kuchh intizām karūñ
-Mehsher Afridi
i
Rehman Faris
kahānī ḳhatm huī
aur aisī ḳhatm huī
ki log rone lage
tāliyāñ bajāte hue
-Rehman Faris
i
Nadeem Shad
Jab bhi milta hai vo
Andaaz juda hota hai
Aur chand sau baar bhi
nikle to vo naya hota hai
-Nadeem Shad
i
Shambhu Shikhar
chehre pe ek ruvaab naya
chad hi jaata hai.
Itihaas me mukaam naya
gad hi jaata hai.
-Shambhu Shikhar
i
Madan Mohan Danish
Dard seene me chupaae rakha
Humne maahol banae rakha
Maut aai thi kai din pehle
usko baaton me laggae rakha
-Madan Mohan Danish
i
Rasbihari Gaur
Gangaa jal se badi
mineral water ki hasti hai
Paani mehenga
Pyaas sasti hai
-Rasbihari Gaur
i
Rajesh Reddy
mire dil ke kisī kone meñ
ik ma.asūm sā bachcha
baḌoñ kī dekh kar duniyā
baḌā hone se Dartā hai
-Rajesh Reddy
i
Azm Shakiri
yuuñ baar baar mujh ko
sadā.eñ na dījiye
ab vo nahīñ rahā huuñ
koī dūsrā huuñ maiñ
-Azm Shakiri
i
Farrukh Nadeem
Ye waqt duniya me zindagi bhar
kisi ka ho kar nahi raha hai
Rahenge hum bewaquf kab tak
Rahoge tum hoshiyaar kab tak
-Farrukh Nadeem
i
Umair Najmi
nikāl laayā huuñ
ek pinjre se ik parinda
ab is parinde ke dil se
piñjra nikālnā hai
-Umair Najmi
i
Amir Ameer
Chal aa ek aisi nazm kahu
jo lafz kahu wo ho jae
Bas ashk kahu aur ek aasu
tere gore gaal ko dho jae
-Amir Ameer
i
Ammar Iqbal
maiñ ne chāhā thā
zaḳhm bhar jaa.eñ
zaḳhm hī zaḳhm
bhar ga.e mujh meñ
-Ammar Iqbal
i
Ikram Arfi
Teri aankhon ka naam
aakhein hai
Teri aankhon ka naam
Dil to nahi
-Ikram Arfi
i
Khurram Afaq
kaan mānūs
hote jā.eñge
aur lagegā ki
shor ghaT gayā hai
-Khurram Afaq
i
Ambreen Haseeb
ta.alluq jo bhī rakkho
soch lenā
ki ham rishta nibhānā
jānte haiñ
-Ambreen Haseeb
i
Vijay Tewari
Yak ba yak nazrein mili
aur muskurana ho gaya.
Yu laga jaise mohobbat
ka bayaana ho gaya.
-Vijay Tewari
i
Alina Itrat
Abhi To Chaak Pe Jaari Hai
Raqs Mitti Ka.
Abhi Kumhar Ki Neeyat
Badal Bhi Sakti Hain.
-Alina Itrat
i
Adil Rasheed
Tum to tafreeh me
kah dete ho paagal mujhko,
Rafta rafta yeh mera
naam bhi pad sakta hai.
-Adil Rasheed
i
Zahid Basheer
jo chand roz mai
ghar me kamaai dene laga
to khaandaan ko
Accha dikhai dene laga
-Zahid Basheer
i
Nashter Amrohi
Aaj kal nafe ki nuksaan ki
Aisi taisi
Aap ke maan ki sammaan ki
Aisi taisi
-Nashter Amrohi
i
Al Idroos
Mohobbat ka mazmoon
chehkaar me ho.
Farishton ka andaaz
raftaar me ho.
-Al Idroos
i
Padmini Sharma
pyaara mujhe bohot tha
magar chhod ke aai
Haste hue bachpan ka
nagar chhod ke aai
-Padmini Sharma
i
Sanjay Shouq
phir se badle yahāñ
tahzīb ne tevar apne
noch kar pheñk diye
jism se zevar apne
-Sanjay Shouq
i
Paplu Lucknowi
chaaval ko dhoondne ki
ijaazat hai aapko
Lekin Mutter pulaao me
boti na dhoondiye
-Paplu Lucknowi
i
Saif Babar
phir taḌap ke
qarār likhnā hai
ishq likhnā hai
pyaar likhnā hai
-Saif Babar
i
Sarvesh Asthana
ishq ki aag ke kuvein
nahi dekhe jaate
Ulfat ki aag ke dhuvein
nahi dekhe jaate
-Sarvesh Asthana
i
Shakeel Jamali
Jhoot me shaq ki kam
goonjaish ho sakti hai,
Sach ko jab chaho
jhutlaya jaa sakta hai.
-Shakeel Jamali
i
Hasan Kazmi
Khubsurat hai aankhe teri,
Raat ko jaagna chhod de.
Khud ba khud neend aaegi,
Tu mujhe sochna chhod de.
-Hasan Kazmi
i
Manisha Shukla
Mahekte log the harsu,
Wo khushbu ka zamana tha.
Zuban se Ishq hota tha,
Wo Urdu ka zamana tha.
-Manisha Shukla
i
Madhyam Saxena
Teergi se lad jhagad kar
Raushani karne lage
Aashiqi ki umr me hum
Shayari karne lage
-Madhyam Saxena
i
Chirag Sharma
titlī se dostī na
gulāboñ kā shauq hai
merī tarah use bhī
kitāboñ kā shauq hai
-Chirag Sharma
i
Sarosh Asif
us ke haath meñ ġhubbāre the
phir bhī bachchā gum-sum thā
vo ġhubbāre bech rahā ho
aisā bhī ho saktā hai
-Sarosh Asif
i
Ehya Bhojpuri
nazar utārtī haiñ
waqt waqt par merī
milī haiñ maaoñ ko
bīnā.iyāñ ajīb-o-ġharīb
-Ehya Bhojpuri
i
Aaisha Sheikh Aashi
Maloom nahi mujhse wafa
Kaun karega
Dushman ho jab apne
to bhala kauna karega
-Aaisha Sheikh Aashi
i
Aisha Ayyub
tumhārī ḳhush-nasībī hai
ki tum samjhe nahīñ ab tak
akele-pan meñ aur tanhā.ī meñ
jo farq hotā hai
-Aisha Ayyub
i
Harshit Mishra
ham us kī
bastī meñ haiñ
pāñchoñ uñgliyāñ
ghī meñ haiñ
-Harshit Mishra
Our Poet’s Accomodation
Dubai
i
Moon Valley
Lucknow
i
Galaxy Grand